PAWANMUKTAASAN
Pawanmuktaasan se sarir se dushit vayu mukt ho jati hai. Isi
karan ise pawan muktaasan khte hai. Mukhyat yah aasan peeth ke bal letkar kiye
janne wale aasano mein se hai lekin ise beithkar bhi kiya jata hai…..
VIDHI:-
![]() |
| PAWANMUKTAASAN |
Yah peeth ke bal letkar kiye jane bala aasan hai. Phele
swasaasan ki sthithi mein let jaaye .phir dono pairo ko ek-dusre se sata le. Ab
hatho ko kamar se sata le . phir ghutno ko modkar panjo ko bhumi par tikyein
iske baad dheere-dheere dono sate hue ghutno ko chhati par rakhein .hathoo ko
kenchi banakar ghutno ko pakdein phir swas bhaar nikalte hue sir ko bhumi se
upar uthate hue thodi ko ghutno se milayein
ghutno ko haatho ki kenchi bani hatheliyon se chhati ki taraf suvida
anusar dabayein karib 10-30 sec tak swas ko bahar rokte hue is sthithi mein
rhakar phir se vapasi ke liye phele sir
ko bhumi par rakhe phir haatho ki kenchi kholte hue haatho ko bhumi par rakhein
, iske baad pairo ko bhumi par rakhte hue phir se swasaasan ki sthithi mein
laut aayein. Ise do-chaar baar karein.isi aasan ko phele ek peir se kiya jata
hai,usi tarah dusre peir se. last mein dono pairo se ek saath es abhyas ko kiya jata hai.es
prakar 3-4 chakra kar sakte hai ,lekin adhiktar dono peiro se hi is abhyas ko
karte hai..
SAAVDHANI:-
Yadi kamar ya pet mein adhik dard ho to yah aasan na karein
. samanya dard ho to suvidaanusar sir uthakar ghutne se nasika na lagayein.
Kebal pairo ko dabakar chhati se sparsh karein…
LAABH:-
- · Yha aasadn udargat vayuvikar ke liye bahut hi uttam hai.
- · Strirog alpavrat ,kashtavrat aur grbhaashya sambandhi rogo ke liye bhi laabhprad hai..
- · Amalpit, hardyarog , ghatia aur kati peeda mein bhi ise hithkari bataya hai .khaskar pet ki badi hui charbi ko yah aasan kam karrta hai..
- · Slipdisk , cytica , aur kamardard mein pryapt labh milta hai
ANYA AASAN

No comments:
Post a Comment