Search This Blog

Tuesday, 21 June 2016

PADAMAASAN

PADAMAASAN

Rid ki haddi sidhi rahe ,iske liye padmaasan karna atyadik laabkari hoga, saavdhaani bartte hue  yah aasan karna bahut aasaan hai iske karne se rakt prvah bhi tej hota hai.

VIDHI:-
Padamaasan
Jamin par baithkar bayein pair ko daiyein jhanga is prakar rakhte hai ki edi nabhi ke pass aa jaye.iske baad daiyein pair uthakar  bayein jhanga par is prakar rakhein ki dono ediya nabhi ke pass aapas mein mil jaye . merudand sahit pet ko ek sid mein puri tarh se sidha rakhein.dhyan rahe ki ghutne jamin se upar na uthe. Iske baad dono haatho ko hathiliyo ko gaud mein rakhte hue sthir rahe. Isko paanv badalkar bhi karna chayiye. Phir drishti ko nashagrabhag  par sthir krke saanth beith jaayein.

SAAVDHANI:-
Smaran rahe ki dhyan ,smadhi aadi mein beithne bale aasno mein merudand ,katibhag,aur sir ko sidha rakha jaata hai aur sthirta purvak baithna hota hai. Dhyan Samadhi  ke samaya aankh band kar leni chayiye .aankhein lambe samaya tak khule rahne se aankho ki taralta nasht hokar unmein vicar paida ho jaane ki samvahbhavna rahti hai.

LAABH:-
·         Padmaasan kaarne se humari rid ki haddi sidhi rahti hai.
·         Sarir mein rakt prvah tej ho jata hai.jodoo mein bhi rakt prbha vhi bad jata hai.
·         Jama vishele padarth aur sankarman khun ke tej prvah ke saath bah jaate hai. Jisse bimari dur hoti hai.
·         Mahavari ki taklifo ko dur karne mein sahyak hai.
·         Is aasan se rid ki haddi ke nichle bhag par jo prbhav padta hai vo pure sarirke liye aaramdayak hai.

·         Padmaasan se ekagratabadti hai.

ANYA AASAN

No comments:

Post a Comment