Safal Jeeven ke sutra(3)
*Mehnat*
Hum chahe to apne atmavishvas aur mehnat ke bal par apna
bhgya khud likh sakte hai aur agar humko apna bhagya likhana nahi aata to
parsthitiyan humara bhagya likh dengi
*Sapne*
Sapne vo nahi hai jo hum neend mein dekhte hai,sapne vo hai
jo humko neend nahi aane dete
*Samay*
Aap yah nahi kah sakte ki apke pas samay nahi hai kyonki
apko bhi din mein utna he samay(24hrs)milta hai jitna samay mahan aur safal
logon ko milta hai
*Vishvas *
Vishvas meinvo shakti hai jisse ujadi hui duniya mein
prakash laya ja sakta hai aur avishvas bhagvan ke banaye insaan ko bhi pathar dil
bana sakta hai
*Safalta*
Dur se humein aage ke sabhi raste band najar aate hai kyonki
safalta ke raste humare liye tabhi khulte jab hum uske bilkul kareeb pahunch
jate hai
*Soch *
Barish ke dauran sare pakshi aashrya ki talash karte hai
lekin baaj badlon ke upar udkar barish ko hi najarandaj kar dete hain , samashyaein saman hai, lekin
aapka najariya inmein antar paida karta hai
*Prasannta*
Yah pahle se nirmit koi cheej nahi hai …. Yeh apke hi
karmon se aati hai
No comments:
Post a Comment