Search This Blog

Sunday, 3 July 2016

Anmol Vachan

Anmol Vachan

Jis din hum ye samaj jaayenge ki samne wala galat nahi hai, sirf uski soch humse alag hai,usi din se jivan se dukh samapt hote jaayenge.

sone(gold) mein jab jad kar heera, abhusan ban jaata hai,vah aabhusan phir sone ka nahi heere ka khalata hai.
''kaya insaan ki sona hai,aur karm heera khalata hai, karmo ke nikhar se hi , mulya sone ka bad jaata hai.

Ek baar insaan ne koyal se kaha "tu kali na hoti to kitni achhi hoti"
saagar se kaha"tera paani khara na hota to kitna achha hota"
Gulab se kaha"tujmein kante na hote to kitna achha hota"
tab tino ek saath bole "he insaan agar tujmein dusro ki kamiya dekhne ki aadat na hoti to to kitna achha hota....

No comments:

Post a Comment