USHTRAASAN
Is aasan ka abhyas karte samya sarir oot(camel) ki tarah
pratit hota hai. Isiliye ise ushtraasan
khte hai.
VIDHI:-
- 1. Ghutno ke bal jamin par beith jaayein. Nitamb ko thoda phailayein aur pair(paav) ki ungliyon ko andar ki aur modein.
- 2. Hathoo ko kamar par rakhein is avashta mein ungliyaa jamin ki taraf honi chahiye.
- 3. Jhangaoo aur pedu ko aange ki aur dabyein
- 4. Chhati ko phulakar saans lein.merudand ko sidha taan kar rakhein.
- 5. Kandho aur bhao ko peeche ki taraf le jaayein.
- 6. Chhati ko upar uthayein sarir ke upari bhag ko peeche ki taraf modein.
- 7. Seer ko sidha rakhein aur samne dekhein, seena taan kar rakhein.
- 8. Daayein haath ko daayein pair par le jaayein hathliyon ko takhno athva ediyon par rakhein.
- 9. Baayein haath ko takhno par athva edyion par rakhein.
- 10. Gardan ko uthayein aur sir ko peenche jhukakar chhat ki aur dekhein.
- 11. Is mudra mein 30 sec se ek minute bane rahe.
- 12. Dheere- dheere samanya sthithi mein laut aayein.
SAAVDHANI:-
·
Is aasan
ka abhyas us sthithi mein nahi karna chahiye jabki aap harniya se peedit hai.
·
Gardan av kandoo mein taklif hone par is aasan
ko nahi karna chahiye.
·
Kamar
v ghutno mein peeda hone par bhi
is aasan ka abhyas nahi karna chahiye.
LAABH:-
- · Ushtraasan sarir ke agle bhaag ko lachila aur majboot banata hai.
- · Is aasan se chhati phelti hai aur phephdo ki karya chhamta badata hai.
- · Merudand aur peeth ko majboot aur sudran banyein rakne ke liye bhi is aasan ka abhyas laabhprad hota hai .
- · Jhangoo mein mauzood tanav ko door karne mein bhi yah aasan shayak hai.
-
ANYA AASAN
No comments:
Post a Comment